Hamari dohri zindagi 


Kabhi kabhi khamoshiyan woh baat keh deti hain 

Joh lafz nahi keh paate..


Kabhi kabhi log khamoshiyon ko samajh nahi paate... 

Jitna lafzon ko galat tarike se samajh lete hain...


Kabhi kabhi auron ki muskaan ke liye apni khushiyaan kuarbaan karni padti hain...

Jitna ki khud ki muskaan ke liye bhi kuarbaan nahi kar pate... 


Kabhi kabhi bagair gunah ke Rishton Ki kadwahat sehni padti hai.. 

Kyun ki yahan har koi bas rishte khatam karne ki koshish me jute hue hain... 


Kabhi kabhi raaton me ham apna takiya bhigoya karte hain... 

Taki roshni aankhon ki sachai bayan na kar de.... 



Kabhi kabhi unn logon ki yaadon me muskaraya karte hain... 

Jinhe hamari maujudgi se koi farq nahi padta.. 



Kabhi kabhi khud ke liye jeena chahte hain... 

Par iss dohari jindagi se fursat nahi milti... 


Aab bas yahi gamm hai ki jinki jazbaton ki hame kadr hua karti hai.. 

Unhe hamare hi jazbaton ki kadr nahi.... 

Comments

Post a Comment

Popular Posts